Wednesday, August 20, 2008

Man Mohan Singh PM

Bhiya mujhe jab Sr Man Mohan Singh ka khayal aata hai to mujhe badi daya aati hai is insaan par! main sochta hu ki kyon ye bechara PM bana?
Kya iski buddhi ne ise itna nahi samjhaya ki bhai jis desh me tum raj karne ja rahe ho uska ek swarnim itihaas raha hai.
bade pyar se ek baar PM sahib ne keh diya ki mujhe marvane ke liye logon ne havan karvaye, are bhai havan to koi karvaye ya na karvaye lekin tum kyon andhvisvas ka payjama pahnate ja rahe ho kyon is desh ki public par taras nahi aata aapko?
are agar havan se hi insaan marte hote to main kabhi se havan kar raha hoon pata nahi ab tak to kitne hi aadmi maar chuka hota!
khair main to ishwar se yahi prarthana karta hu ki vo is alp buddhi insaan ko buddhi de taki ye hamare desh ko sahi maarg par le ja sake!
Oum Namastey!